Showing posts with label -------Avi. Show all posts
Showing posts with label -------Avi. Show all posts

7 Jan 2012

Aag Zamaane Ko Lage Hum Nahi Chahte

Shaam-e-Furqat Dhale Hum Nahi Chahte
Ghum Se Fursat Miley Hum Nahi Chahte

Phir Naya Waar Sehne Ko Taiyar Hai
Tu Pareshan Rahe Hum Nahi Chahte

Aaj In Aansoo Ko Bahene Se Mat Roko
Aaj Barish Thame Hum Nahi Chahte

Hum Tere Baad Ujde Hue Hi Thik Hain
Ab Kahin Dil Lage Hum Nahi Chahte

Tujhe Pakar To Hum Dadhakte Hi Rahen
Tu hamari Nazar Se Hate Hum Nahi Chahte

Kis Qadar Dilnashee Hai Ye Maujon Ka Shor
Ghum Ka Ye Darya Ruke Hum Nahi Chahte

Iss Qadar Pyaar Se Tu Pukara Na Kar
Aag Zamaane Ko Lage Hum Nahi Chahte ...

9 Jul 2011

काश मैं बंजारा होता ...

काश मैं बंजारा होता

ना कहीं टिकता, ना कोई टिकाता


ना किसी पे मरता, ना कोई मरता


काश मैं बंजारा होता

तो दिल भी बेचारा ना होता


मन भी आवारा ना होता


कदम भी लड़खड़ाया ना होता


अपनों का हरवक्त सहारा ना होता


काश मैं बंजारा होता


काश मैं बंजारा होता ...


22 May 2011

Tanhaayee

"Dharti tanha, aasma tanha
  Tum tanhe, main bhi tanha
  Ye bhi kaisi zindagi hai
  Dil tanha aur Jaan bhi tanha

  Suraj tanha, chaand tanha
  Nadiyaa tanhe, giri tanha
  Ye bhi kaisi zindagi hai
  Khuda tanha aur bande bhi tanha
  
  Rishta tanha,  umra tanha
  Sapne tanhe, apne tanha
  Ye bhi kaisi zindagi hai
  Jeevan tanha aur maut bhi tanha..."

21 May 2011

hawaon se puchha...

Aye moaJ-e-Hawa Tu Hi Bata...

Wo Dost Hamara Kaisa Hai?

Jo Bhool Chuka Hai Hame Kab se...

Wo Jaan se pyara Kaisa Hai?

Kya us Ke jeevan Lamho main...

Koi Lamha mera Baaqi Hai?

Kya Us Ki Jaagti Aankhon main...

meri Yaad Abhi Bhi Baaqi Hai?

Agar Aisa Nahi To..!!!Tu Hi Bata

Hum Yaad use q Karte Hain?

Wo Hum se Bichhad Ke Khush Hai Agar

To pal pal Hum q MARTE Hain...!

Unki yaad me...

"log tut jaate hain ek ghar banane me

 tum taras nahi khaati bastiyaan jalane me 

 na jane kitne jaam tutenge is sharabkhane me

 kuchh dard yaad karne me kuchh bhul jane me

 humne is dhadkte pathher to dil samjha tha 

 Umra beet jaati hai ek dil ko basane me


 Dusri koi zindagi me aaegi magar ...


 Kitni der lagti hai tumko bhool jane me"